Wednesday, December 31, 2008
baad muddat use dekhaa, logo
vo zaraa bhii nahiiN badlaa, logo
Khush na thaa mujhse biChhaD kar vo bhi
iuske chehre pe likhaa thaa logo
uskii aaNkheN bhii kahe detii thiin
raat bhar vo bhii na soyaa, logo
ajnabii ban ke jo guzraa hai a bhi
thaa kisii vaqt meN apnaa, logo
dost to Khair, koii kis kaa hai
usne dushman bhii na samjhaa, logo
raat vo dard mere dil meN uthaa
subah tak chain na aayaa, logo
tumne hameN bhulaa diyaa ham na tumheN bhulaa sake
tum hii na sun sake agar, qissa-e-Gam sunegaa kaun
kiskii zubaaN khulegii phir, ham na agar sunaa sake
hosh meN aa chuke the ham, josh meN aa chuke the tum
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake
raunaq-e-bazm ban gaye, lab pe hikaayateN rahiiN
dil meN shikaayateN rahiiN, lab na magar hilaa sake
ijz se aur baDh gaii barhamii-e-mizaaj-e-dost
ab voh kare ilaaj-e-dost jiskii samajh meN aa sake
shouq-e-visaal hai yahaaN, lab pe savaal hai yahaaN
kiskii majaal hai yahaaN ham se nazar milaa sake
ahle zubaaN to haiN bohat, koii nahiiN hai ahl-e-dil
kaun terii taraH Hafeez dard ke geet gaa sake
shaaiir hun meraa kaam nahiiN falsafaa-raanii
khaltii hai mujhe Thhos nataaij ki garaani
insaan ki tasveer nayii ho ke puraanii
matloob mujhe husn hai aur husn-e-ma’ani
Allah ke bandoN se mujhe bair nahiin hai
yaani merii duniyaa meiN ko’ii Gair nahiiN hai
qaumoN ki hilaayakat ka hunar dekh rahaa hun
ye roz-o-shab-o-shaam-o-sahar dekh rahaa hun
Tuesday, December 23, 2008
Tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuun
husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuun
tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
maiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuun
sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
maiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN
vaqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
yuuN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuun
dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko’ii le jaataa
main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN
ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuun
zamaanaa bahut bad-gumaan ho rahaa hai
zamaanaa bahut bad-gumaaN ho rahaa hai
kisii shaKhs kaa imtihaaN ho rahaa hai
suriiilii sadaayeN haiN ek shoKh kii sii
ilaahii ! ye jalsaa kahaaN ho rahaa hai
bahut hasrat aatii hai mujh ko ye sun kar
kisii par ko’ii meh’rbaaN ho rahaa hai
tire zulm-e-pinhaaN abhii kaun jaane?
faqat aasmaaN aasmaaN ho rahaa hai
in aaNkhoN ne is dil kaa kyaa bhed kholaa?
ke muztar meraa raazdaaN ho rahaa hai
sunuuN kyaa Khabar jashn-e-ishrat kaa qaasid ?
jahaaN ho rahaa hai vahaaN ho rahaa hai
vo haal-e-tabiiyat jo barsoN chhupaayaa
har ek shaKhs se ab bayaaN ho rahaa hai
ko’ii uR ke aayaa, ko’ii chhup ke aayaa
pashemaaN teraa paasbaaN ho rahaa hai
kahiiN do ghaRii aap shabnam meN soye
jo ruKh par arq dur-fishaaN ho rahaa hai
ye behoshiyaan “Dagh”, ye Khvaab-e-Ghaflat
Khabar bhii hai jo kuch vahaaN ho rahaa hai
Jhonka Idhar na aaye namim-e-bahaar kaa
naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa
phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa
shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG main
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa
har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huuN main
tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa
is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne
yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa
hilatii nahii.n havaa se chaman main ye Daaliyaan
muu.Nh chuumate hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa
uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai 'Ameer'
miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa
Monday, December 22, 2008
aankhon mein jal rahaa hai kyuun bujhataa nahin dhuuan
uThataa to hai ghaTaa saa barasataa nahin dhuaan
chuulhaa nahin jalaaye yaa basti hi jal ga_ii
kuchh roz ho gaye hain ab uThataa nahin dhuaan
aankhon se ponchane se lagaa aanch kaa pataa
yuun cheharaa pher lene se chhupata nahin dhuaan
aankhon se aansuon ke maraasim puraane hain
mehamaan ye ghar men aayen to chubhataa nahin dhuaan
ab aksar chup-chup se rahe hain yuuN hii kabhuu lab khole hain
pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hain
din men ham ko dekhane vaalo apane apane hain auqaat
jaao na tum in Khusk aankhon par ham raaton ko ro le hain
fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii
kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hain
baag main vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaron par
Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hain
uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karavatain len kaunden
haay vo aalam jumbish-e-mizagaan jab fitne par tole hain
in raaton ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim
khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hain
Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo
kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n
dekhte dekhte utar bhi gaye
Kathin hai rahahguzar thori dur saath chalo
kathin hai raahguzar thorii duur saath chalo
bahut kaRaa hai safar thoRii duur saath chaalo
tamaam umr kahaaN ko’ii saath detaa hai
maiN jaantaa huuN magar thoRii duur saath chalo
nashe meN chuur huuN maiN bhii tumheN bhii hosh nahiin
baRaa mazaa ho agar thoRii duur saath chalo
ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ghaniimat hai
kise hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo
abhii to jaag rahe haiN chiraaGh raahoN ke
abhii hai duur sahar thoRii duur saath chalo
tavaaf-e-manzil-e-jaanaaN hameN bhii karnaa hai
“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo
Uljhan Tammam Umr
dil kii muraad aashiquii meN yaa havas meN thii !
dar thaa khulaa, pe baiThe rahe par sameT kar
karte bhii kyaa ke jaa-e-amaaN hii qafas meN thii !
sakte meN sab chiraaGh the, taare the dam-baKhud !
maiN us ke iKhtiyaar meN vo mere bas meN thii
ab ke bhii jamii hu’ii hai ye aaNkhoN ke saamne
KhvaaboN kii aik dhuNdh jo picchle baras meN thii
kal shab to us kii bazm meN aise lagaa mujhe !
jaise ke kaaynaat merii das-taras meN thii
mehfil meN aasmaaN kii, bole ke chup rahe
“Amjad” sadaa zamiin isii pesh-o-pas meN thii
Khawab Nagar
us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huun
kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
diivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huun
kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!
aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huun
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa hai
ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huun
jaise meraa chehraa mere dushman kaa ho
aaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huun
manzar manzar viiraanii ne jaal taane hain
gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huun
manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN hain
rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huun
shah’r sangdlaal (?) main “Amjad” har raste par
aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huun
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera
Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein
Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein
Haath us ney Mera Thama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga
Ruk ruk k bar baar barasti hain aj bhi
tu bhi meray naam kar day, apna har ilzam bhi,
Kaisay khat likhnay k waday, kaisi mulaqatain,
woh to shayud bhool hi jayen jaa kar tera naam bhi,
Yadain teray sulook ki dasti hain aaj bhi,
Milnay ki arzo mein tarasti hain aaj bhi,
Ankhain hazar sabar ki koshish k bawajood,
Ruk ruk k bar baar barasti hain aj bhi