Thursday, July 30, 2009

chaand sitaaron se kyaa puchhuun kab din mere phirate hain

chaand sitaaron se kyaa puchhuun kab din mere phirate hain
vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hain

jin galiyo.n men ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thiin
un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.njh savere phirate hain

ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii me.n jokhim hai
chaaro.n khuu.NT baguule ban kar ghor andhere phirate hai.n

jin ke shaam-badan saaye me.n meraa man sustaayaa tha
aab tak aa.Nkho.n ke aage vo baal ghanere phirate hai.n

ko_ii hame.n bhii ye samajhaa do un par dil kyo.n riijh gayaa
tiikhii chitavan baa.Nkii chhab vaale bahutere phirate hai.n

is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n

log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
'Abid' ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hai.n

hontoon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye

hontoon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hain Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye

lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaan
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

taaron se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuun kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye

su-e-maikada na jate to kuchh aur bat hoti

su-e-maikada na jate to kuchh aur bat hoti
wo nigah se pilate to kuchh aur bat hoti

go hava-e-gulistan ne mere dil ki laj rakh li
wo naqab Khud uthate to kuch aur bat hoti

ye baja kali ne khil kar kiya gulistan muattar
magar ap muskurate to kuchh aur bat hoti

ye khule khule se gesu, inhen lakh tu sanware
mere hath se sanwarate, to kuch aur bat hoti

go haram ke raste se wo pohanch gaye Khuda tak
teri rahguzar se jate to kuchh aur bat hoti

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se

goya tumhari yad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhara tabib se

barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
vo bhi to tum ne chhin liya mujh garib se

dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
a pas a ke dekh lu tujh ko qarib se

jis tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai

jis tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai

us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar
meri chahat ka hai mahavr ye nagar jaisa bhi hai

chal para hun shauq-e-beparvah ko murshad man kar
rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai

sab gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai

vo to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye
tera 'Anwar' bahunar ya behunar jaisa bhi hai

rat ai hai balaon se rihai degi

rat ai hai balaon se rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi

vaqt guzra hai par mausam nahin badala yaro
aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi

ye dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
dekhna phir koi surat na sujhai degi

dil jo tutega to ik tarfa tamasha hoga
kitne ainon main ye shaql dikhai degi

sath ke ghar main bara shor barpa hai 'Anwar'
koi ayega to dastak na sunai degi

Saturday, July 18, 2009

arzuen hazar rakhte hain

arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain

barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain

gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain

na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain

ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain

chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain

phir bhi karte hain "Mir" sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain