Friday, May 22, 2009

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
na jaane mujhe kyuun yaqiin ho chalaa hai
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge

merii yaad hogii jidhar jaaoge tum
kabhii naGmaa ban ke, kabhii ban ke aansuu
tadapataa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayii merii vafaa ne
bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakoge

kaabhii naam baato.n men aayaa jo meraa
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigaaho.n pe chhaayegaa Gam kaa andheraa
kisii ne jo puuchhaa sabab aansuon kaa
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge

kahiin aisaa naa ho daaman jalaa lo

kahiin aisaa naa ho daaman jalaa lo
hamaare aansuon par Khaak Daalo

manaanaa hii zaruurii hai to phir tum
hamen sab se Khafaa hokar manaa lo

bahut ro_ii hu_ii.n lagatii hai.n aankhen
merii Khaatir zaraa kaajal lagaa lo

akelepan se Khauf aataa hai mujh ko
kahaa.N ho ai mere Khvaabo.n Khayaalon

bahut maayuus baithaa huun main tum se
kabhii aakar mujhe hairat me.n Daalo

Thursday, May 7, 2009

Khaar-o-Khas to uTheN, raastaa to chale

Khaar-o-Khas to uTheN, raastaa to chale
maiN agar thak gayaa, qaaflaa to chale

chaaNd, suuraj, buzurgoN ke naqsh-e-qadam
Khair bujhne do unko havaa to chale

haakim-e-shahar, yah bhii koii shahar hai
masjideN band haiN, maikadaa to chale

usko mazhab kaho yaa siaasat kaho!
Khudkushii ka hunar tum sikhaa to chale

itnii laasheN maiN kaise uthaa paaunga
aap iinton kii hurmat bachaa to chale

belche laao, kholo zamiiN ki tahen
main kahaaN dafan huun, kuchh pataa to chale

Lutf voh ishq men paaye hain ki jii jaantaa hai

lutf voh ishq meN paaye hain ki jii jaantaa hai
ranj bhii aise uThaaye haiN ki jii jaantaa hai

muskuraate hue voh majma-e-aGhyaar ke saath
aaj yuuN bazm meN aaye haiN ki jii jaantaa hai

kaaba-o-dair meN pathraa gayii donoN aankhen
aise jalve nazar aaye haiN ki jii jaantaa hai

dostii men terii dar-parda hamaare dushman
is-qadar apne paraaye haiN ki jii jaantaa hai

inhii qadmon ne tumhaare, inhii qadmon kii qasam
Khaak men itne milaaye hain ki jii jaantaa hai

Daagh-e-vaarafta ko ham aaj tere kuuche se
is taraH khiinch ke laaye haiN ki jii jaantaa hai

Tumhare Khat

dukh dard men hameshaa nikaale tumhaare khat
aur mil gayii Khushii to uchhaale tumhaare khat

sab chuudiyaan tumhaarii samandar ko saunp din
aur kar diye havaa ke havaale tumhaare khat

mere lahuu meN guuj rahaa hai har ek lafz
maiN ne ragoN ke dasht meN paale tumhaare Khat

yuun to hain beshumaar vafaa kii nishaaniyaan
lekin har ek shae se niraale tumhaare khat

jaise ho umr bhar ka asaasa Ghariib kaa
kuchh is tarah se maiNne sambhaale tumhaare khat

ahl-e-hunar ko mujh pe Wasii etraaz hai
maiNne jo apne sher men Dhaale tumhaare khat