Wednesday, June 24, 2009

zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega

zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega

naye pyale sahi tere daur main saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega

mujhe to khair watan chor k aman na mili
watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega

unhin k dam se farozan hain millaton k charag
zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega

badal sako to badal do ye bagban warna
ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega

hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarsega



















Niyyat-e-Shauq Bhar Na Jae Kahin

niyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin
tuu bhii dil se utar na jaaye kahiin

aaj dekhaa hai tujh ko der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahiin

na milaa kar udaas logoN se
husn teraa bikhar na jaaye kahiin

aarzuu hai ki tuu yahaan aaye
aur phir umar bhar na jaaye kahiin

jii jalaataa huun aur sochtaa huun
raaegaan yah nahar na jaaye kahiin

aao kuchh der ro hii len naasir
phir yah daryaa utar na jaaye kahiin

Husn Ko Dil Men Chupa Kar Dekho

husn ko dil meN chhupaa kar dekho
dhyaan kii shamaa jalaa kar dekho

kyaa khabar koii dafiinaa mil jaaye
koii diivaar giraa kar dekho

faakhtaa chup hai baDii der se kyuuN
saro kii shaakH hilaa kar dekho

nahar kyuun so gaii chalte chalte
koii patthar hii giraa kar dekho

dil meN betaab hain kyaa kyaa manzar
kabhii is shahar meN aa kar dekho

in andheron men kiran hai koii
shabzadon aankh uThaakar dekho

Dil Ke Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log ruKhsat hue kab, yaad nahi

vo sitaara thii ki shabnam ki phul
ek suurat thii ajab yaad nahii

Naisaa uljhaa Gham-e-duniaa men
ek bhii Khwaab-e-tarab yaad nahiin

kaisii viiraan hai guzargaah-e-Khayaal
jab se voh aariz-o-lab yaad nahi

Nyeh haqiiqat hai ki ahbaab ko ham
yaad hii kab the jo ab yaad nahiin

yaad hai sair-e-chiraaGaaN 'Nasir'
dil ke bujhne ka sabab yaad nahiiN

Dil to Mera Udas Hai...

kaun is raah se guzartaa hai
dil yuun hii intizaar kartaa hai

dekh kar bhii na dekhne vaale
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai

shahar-e-gul men kaTii hai saarii raat
dekhiye din kahaan guzartaa hai

dhyaan kii siiDhiyon pe pichhle pahar
koii chupke se paaon dhartaa hai

dil to meraa udaas hai naasir
shahar kyuuN saaen saaen kartaa hai