Wednesday, December 31, 2008

shaaiir hun meraa kaam nahiiN falsafaa-raanii

shaaiir hun meraa kaam nahiiN falsafaa-raani
khaltii hai mujhe Thhos nataaij ki garaani

insaan ki tasveer nayii ho ke puraanii
matloob mujhe husn hai aur husn-e-ma’ani

Allah ke bandoN se mujhe bair nahiin hai
yaani merii duniyaa meiN ko’ii Gair nahiiN hai

qaumoN ki hilaayakat ka hunar dekh rahaa hun
ye roz-o-shab-o-shaam-o-sahar dekh rahaa hun

No comments:

Post a Comment