Monday, December 22, 2008

ab aksar chup-chup se rahe hain yuuN hii kabhuu lab khole hain

ab aksar chup-chup se rahe hain yuuN hii kabhuu lab khole hain
pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hain

din men ham ko dekhane vaalo apane apane hain auqaat
jaao na tum in Khusk aankhon par ham raaton ko ro le hain

fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii
kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hain

baag main vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaron par
Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hain

uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karavatain len kaunden
haay vo aalam jumbish-e-mizagaan jab fitne par tole hain

in raaton ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim
khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hain

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo
kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n

No comments:

Post a Comment