Tuesday, December 23, 2008

Jhonka Idhar na aaye namim-e-bahaar kaa

jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa
naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa

phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa

shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG main
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa

har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huuN main
tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa

is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne
yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa

hilatii nahii.n havaa se chaman main ye Daaliyaan
muu.Nh chuumate hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa

uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai 'Ameer'
miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa

No comments:

Post a Comment