Tuesday, December 23, 2008

zamaanaa bahut bad-gumaan ho rahaa hai

zamaanaa bahut bad-gumaaN ho rahaa hai
kisii shaKhs kaa imtihaaN ho rahaa hai

suriiilii sadaayeN haiN ek shoKh kii sii
ilaahii ! ye jalsaa kahaaN ho rahaa hai

bahut hasrat aatii hai mujh ko ye sun kar
kisii par ko’ii meh’rbaaN ho rahaa hai

tire zulm-e-pinhaaN abhii kaun jaane?
faqat aasmaaN aasmaaN ho rahaa hai

in aaNkhoN ne is dil kaa kyaa bhed kholaa?
ke muztar meraa raazdaaN ho rahaa hai

sunuuN kyaa Khabar jashn-e-ishrat kaa qaasid ?
jahaaN ho rahaa hai vahaaN ho rahaa hai

vo haal-e-tabiiyat jo barsoN chhupaayaa
har ek shaKhs se ab bayaaN ho rahaa hai

ko’ii uR ke aayaa, ko’ii chhup ke aayaa
pashemaaN teraa paasbaaN ho rahaa hai

kahiiN do ghaRii aap shabnam meN soye
jo ruKh par arq dur-fishaaN ho rahaa hai

ye behoshiyaan “Dagh”, ye Khvaab-e-Ghaflat
Khabar bhii hai jo kuch vahaaN ho rahaa hai

No comments:

Post a Comment