fanaa kaa hosh aanaa zindagii kaa dard-e-sar jaanaa
ajal kyaa hai Khumaar-e-baada-e-hastii utar jaanaa
musiibat meN bashar ke jauhar-e-mardaanaa khulte hain
mubaarak buzdilon ko gardish-e-qismat se Dar jaana
abohat saudaa rahaa vaaez tujhe naar-e-jahannum kaa
mazaa soz-e-mohabbat kaa bhii kuchh ae bekhabar jaanaa
If it didn't Bring you joy...
15 years ago
No comments:
Post a Comment