Friday, April 10, 2009

agar dard-e-muhabbat se na insaan aashnaa hota


agar dard-e-muhabbat se na insaan aashnaa hota
ana marne kaa mazaa hotaa, na jine kaa mazaa hotaa

hazaaron jaan dete hain buton ki bevafaai par
agar un men se koi baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa


dam bhar bhi mit jaatii khalish-khaar tamanna
dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hota

ye maana be-hijaabaana nigaahen qahr karti hain
magar husn-e-hayaparvar kaa aalam duusra hota

No comments:

Post a Comment