skip to main |
skip to sidebar
rukhsat hua wo baap se le kar khuda ka naam
rukhsat hua wo baap se le kar khuda ka naam raah-e-wafa ki manzil-e-awwal hui tamaammanzoor tha jo maaN ki ziyaarat ka intezaam daaman se ashk pochh ke dil se kiya kalaam
izhaar-e-bekasi se sitam hoga aur bhi dekha hameN udaas to gHam hoga aur bhi
dil ko saNbhaalta hua aakHir wo nau-nihaal khaamosh maaN ke paas gaya surat-e-khyaal dekha to aik dar meN hai baithi wo khasta haal sakta so ho gaya hai, ye hai shiddat-e-malaal
tan men lahoo ka naam nahin, zard rang hai goya bashar nahiN, koi tasveer-e-saNg hai
kya jaane kis kHayaal meN gum thi wo begunaah noor-e-nazar pe deeda-e-hasrat se ki nigaah juNbish hui laboN ko, bhari aik sard aah
li gosha haai chashm se ashkoN ne rukh ki raah
chehre ka raNg haalat-e-dil kholne lagahar moo-e-tan zabaaN ki tarah bolne laga
aakHir, aseer-e-yaas ka qufal-e-dahan khula afsana shadaayed-e-raNj-o-mahan khula ik daftar-e-muzaalim-e-charkH-e-kuhan khula wa tha dahaan-e-zakHm, ke baab-e-sukHan khula
dard-e-dil-e-gHareeb jo sarf-e-bayaann hua khoon-e-jigar ka raNg sukHan se ayaan hua
ro kar kaha; kHamoosh khaRhe kyun jo meri jaan? maiN jaanti hooN, kis liye aaye ho tum yahaan sab ki kHushi yahi hai to sahra ko ho rawaan lekin maiN apne muNh se na hargiz kahooNgi "haan"
kis tarah ban meN aaNkh ke taare ko bhej doon? jogi bana ke raaj dulaare ko bhej doon?
duniya ka ho gaya hai ye kaisa lahoo safed? aNdha kiye hue hai zar-o-maal ki ummid anjaam kya hua? koi nahin jaanta ye bhed soche bashar, to jism ho larzaan misaal-e-beid
likkhi hai kya hayaat-e-abad in ke waaste? phaila rahe hain jal ye kis din ke waaste?
leti kisi faqeer ke ghar men agar janam hote na meri jaan ko samaan ye baham Dasta na saaNp ban ke mujhe shaukat-o-hasham tum mere laal, the mujhe kis saltanat se kam
maiN kHush hoon, phoonk de koi is takht-o-taaj ko tum hi nahiN, to aag lagaaooN-gi raaj ko
kin kin riyaazatoN se guzaare hain maah-o-saal dekhi tumhaari shakal jab ai mere nau-nihaal! pura hua jo byaah ka armaan tha kamaal aafat aayi mujh pe, hue jab safed baal
chhoot-ti hoon unn se, jog lena jin ke waaste kya sab kiya tha maine issi din ke waaste?
aise bhi naa-muraad bahut aayenge nazar ghar jin ke be chiraagH rahe aah! umr bhar rahta mera bhi nakhl-e-tamanna jo besamar ye jaaye sabar thi, ke dua meN nahiN asar
lekin yahaan to ban ke muqaddar hi bigarh gaya phal phool la ke baagH-e-tamanna ujaRh gaya
sarzad hue the mujh se kHuda jaane kya gunaah manjhdaar men jo yun meri kashti hui tabah aati nazar nahiN koi aman-o-amaaN ki raah ab yaan se kooch ho to adam meN mile panaah
taqseer meri, khaaliq-e-aalam bahal kare aasaan mujh gHareeb ki mushkil ajal kare
sun kar zabaan se maaN ki ye faryaad dard khez uss kHastaH jaaN ke dil pe gham ki tegh-e-tez aalam ye tha qareeb, ke aaNkheN hon ask rez lekin hazaar zabt se rone se ki gurez
socha yahi, ke jaan se bekas guzar na jaaye nashaad hum ko dekh kar maan aur mar na jaaye
phir arz ki ye maadar-e-nashaad ke huzoor mayuus kyuN haiN aap? alam ka hai kyun wafoor?
sadma ye shaaq aalam-e-peeri hai zaroor lekin na dil se kijiye sabr-o-qaraar door
shayad khizaaN se shakal ayaaN ho bahaar ki kuchh maslahat isi meN ho parwardigaar ki
ye jaal, ye fareb, ye saazish, ye shor-o-shar ho na jo hai, sab uss ke bahaane haiN sar ba sar
asbbab-e-zaahiri haiN, na in par karo nazar kya jaane kya hai pardaa-e-qudrat meN jalwa-gar
khaas uss ki maslahat koi pahchaanta nahin manzoor kya use hai? koi jaanta nahin
rahat ho ya ke ranj, khushi ho ke inteshaar waajib har aik raNg meN hai shukar-e-kirdgaar
tum hi nahiN ho kushta-e-neeraNg-e-rozgaar matam kadda meN dahar ke lakhoN hain sogwaar
sakhti sahi nahin, ke uthai karhi nahin duniya men kya kisi pe musibat parhi nahin
dekhe hain is se barh ke zamaane ne inqilaab jin se ke begunaahoN ki umreN huiN kharaab
soze-daroon se qalb-o-jigar ho gaye kabaab peeri miTi kisi ki, kisi ka miTa shabaab
kuchh ban nahiN parha, jo naseebe bigarh gaye wo bijliyaaN giriN, ke bhare ghar ujarh gaye
maan baap munh hi dekhte the ji ka har gharhi qaayam thiN jin ke dam se umeeden barhi bari
daman pe jin ke gard bhi uRh kar nahin pari maari na jin ko kHwaab meN bhi phool ki chhari
mahroom jab wo gul hue rang-e-hayaat se un ko jala ke kHaa kiya apne haat se
kahte the log dekh ke maan baap ka malaal in be-kasoN ki jaan ka bachna hai ab muhaal
hai kibirya ki shaan, guzarte hi maah-o-saal kHud dil se dard-e-hijr ka miT-ta gaya khyaal
haan kuchh dinon to nauha wa maatam hua kiya aakhir ko ro ke baiTh rahe, aur kya kiya ?
parhta hai jis ghareeb pe ranj-o-mahan ka baar karta hai uss ko sabar ata aap kirdaar
maayoos ho ke hote haiN insaan gunaah-gaar ye jaante nahiN, wo hai dana-e-rozgaar
insaan uss ki raah men saabit-e-qadam rahe gar din wahi hai, amr-e-raza meN jo kHam rahe
aur aap ko to kuchh bhi nahiN raNj ka muqaam baad-e-safar watan meN ham aayeNge shaad kaam hote haiN baat karne meN chaudhwan (14) baras tamaam qaayam umeed hi se hai, duniya hai jis ka naam
aur yuN kahin bhi ranj-o-bala se mafar nahin kay hoga do ghaRhi meN kisi ko kHabar nahin
aksar riyaaz karte hain phoolon pe baaghbaan hai din ki dhoop, raat ki shabnam unhe giraan lekin jo raNg baagH badalta hai na guhaan wo gul hazaar pardoN meN jaate haiN raygaan
rakhte haiN jo azeez unhe apni jaan ki tarah milte haiN dast-e-yaas wo barg-e-kHezaan ki tarah
lekin jo phool khilte haiN sahra men beshumaar mauqoof kuchh riyaaz pe un ki nahiN bahaar dekho ye chaman aaraaye rozgaar wo abr-o-baad-o-baraf meN rahte haiN baqaraar
hota haiun pe fasal jo rabbe kareem ka mauj-e-sumoom banti hai jhoNka naseem ka
apni nigaah hai karam-e-karsaaz par sahra chaman banega, wo hai meharbaan agar jangal hoya pahaaRh, sagfar ho ke ho hazar rahta nahiN wo haal se bande ke be khabar
uss ka karam shareek agar hai to gHam nahin daamaan-e-dasht, daaman-e-maadar se kam nahin
No comments:
Post a Comment