ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaan gaye
vo phuul kyaa huye vo sitaare kahaan gaye
yaaraan-e-bazm-e-jurr'at-e-ri.ndaanaa kyaa hu_ii
un mast a.nkha.Diyo.n ke ishaare kahaan gaye
ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa
umade huye vo hosh ke dhaare kahaan gaye
uTh uTh ke baiTh chukii gard raah kii
yaaro qaafile thake haare kahaan gaye
betaab tere dard se the chaaraagar "Hafeez"
kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaan gaye
If it didn't Bring you joy...
15 years ago
No comments:
Post a Comment