Khayaal-o-Khvaab hue hai.n muhabbaten kaisii
lahuu men naach rahii.n hai.n ye vahashaten kaisii
na shab ko chaa.Nd hai achchhaa na din ko mehar achchhaa
ye ham pe biit rahii hai.n qayaamate.n kaisii
azaab jin kaa tabassum savaab jin kii nigaah
khi.nchii huii hai.n pas-e-jaanaa.N suurate.n kaisii
havaa ke dosh pe rakkhe hue charaaG hai.n ham
jo bujh gaye to havaa se shikaayate.n kaisii
jo beKhabar ko_ii guzaraa to sadaa ye dii hai
main sang-e-raah huu.N mujh par inaayate.n kaisii
jo aa rahe so vo bhii ab sang-o-Khisht laataa hai
fazaa ye ho to dilo.n kii nazakate.n kaisii
If it didn't Bring you joy...
15 years ago
No comments:
Post a Comment