kartaa hun jam’aa main to bikhartii hai zaat aur
baaqii hai kitnii ai mere maulaa, ye raat aur !
letii hai jaltii sham’aa bhii bujhne meN kuch to vaqt
hai aadmii saa ko’ii kahaan be-sabaat aur
sailaab jaise letaa hai diivaar ke qadam
kartaa hai Gham bhii dil se ko’ii vaardaat aur
yun to huzuur-e-paak (saw) ke laakhon hain madda’khvaan
taa’ib sii likh rahaa hai magar kaun na’at aur
mazhar, az’l ke husn ke “Amjad” hain be-shumaar
lekin jo dekhiye to hai baarish kii baat aur
If it didn't Bring you joy...
15 years ago
No comments:
Post a Comment