Saturday, April 11, 2009

dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain


dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhii ho.n kuchh roz me.n bhar jaate hai.n

us dariiche me.n bhii ab ko_ii nahiin aur ham bhii
sar jhukaa_e hu_e chup-chaap guzar jaate hai.n

raastaa roke kha.Dii hai yahii ulajhan kab se
ko_ii puuchhe to kahe.n kyaa ki kidhar jaate hai.n

narm aavaaz bhalii baate.n mohazzab lahaje
pahalii baarish me.n hii ye rang utar jaate hai.n

No comments:

Post a Comment