Wednesday, April 8, 2009

Acha aisa ho marizoo ka Khayal acha hai


Acha aisa ho marizoo ka Khayal acha hai

hum mar jate hain tum kahte ho hal acha hai

tujh se maNgoN mai tujhi ko ki sab kuch mil jaye

soo sawaloon se yahi ek sawal acha hai

dekh le bul-bul-o-perwane ki betabi ko

hijr acha na hasinoo ka wisal acha hai

aa gaya us ka tasawor to pukara ye shaoq

dil main jam jaye Elahi ye Khayal acha hai

No comments:

Post a Comment